Maa- Heart touching poem in hindi

Bheja hai khuda ne tujhe farishte je roop mein
Mamta bhari hai tere komal swaroop mein
Mujhko rakha chhaya mein
Khud ko rakha dhoop mein
Galtiyon se seekh dilai mithi maar ke roop meim
Kaanta laga mujhe to dard tujhe hua
Marham laga mere aur asar tujhe hua
Gale milkar tere mera har gham door hua
Tujhse milne ke liye to khuda bhi majboor hua

Vaada karta hoon maa
Imaandari ki roti khaata rahoonga
Sachai ke path par khud chalunga
aur sabko chalata rahoonga
Har girte insaa ko uthhata rahoonga
Har langdi soch ko chalata rahoonga
Har langdi soch ko chalata rahoonga

Comments

  1. बहुत सुन्दर कविता, और कविताये भी पोस्ट कीजिये,
    https://www.blogger.com/u/5/blogger.g?blogID=1041228696134760135#allposts
    यह मेरा blog है एक बार ज़रूर पढियेगा

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

कविता- मेरे दोस्त मेरे यार